aasmaan ko phir zameen se jod aate
ham bhi dil vaise hi uska tod aate
gar na hoti itni ulfat yaar se jo
chaale phir pairo'n ke uske phod aate
muddaton jaage hain jiski yaad mein ham
kar ke paagal usko bhi ham chhod aate
jo kiya hota na vaada umr bhar ka
qasmen saari ham bhi ankur tod aate
आसमाँ को फिर ज़मीं से जोड़ आते
हम भी दिल वैसे ही उसका तोड़ आते
गर न होती इतनी उल्फ़त यार से जो
छाले फिर पैरों के उसके फोड़ आते
मुद्दतों जागे हैं जिसकी याद में हम
कर के पागल उसको भी हम छोड़ आते
जो किया होता न वादा उम्र भर का
क़समें सारी हम भी 'अंकुर' तोड़ आते
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari