dono jahaan phir haar ke | दोनों जहाँ फिर हार के

  - Ankur Mishra

dono jahaan phir haar ke
zinda hain khud ko maar ke

khush hoon main tanhaa hi yahan
mausam gaye vo pyaar ke

kyun dekhoon main ab khwaab vo
charche hain jismein yaar ke

mat chhedo qissa tum vo ab
tootenge dil phir chaar ke

maana hai mushkil ye magar
hai saath jeena yaar ke

दोनों जहाँ फिर हार के
ज़िंदा हैं ख़ुद को मार के

ख़ुश हूँ मैं तन्हा ही यहाँ
मौसम गए वो प्यार के

क्यों देखूँ मैं अब ख़्वाब वो
चर्चें हैं जिसमें यार के

मत छेड़ो क़िस्सा तुम वो अब
टूटेंगे दिल फिर चार के

माना है मुश्किल ये मगर
है साथ जीना यार के

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari