isliye koii thehra nahin
ishq tha par bharosa nahin
aur hain khwaab in aankhon mein
ek tu hi akela nahin
chhod doon jeena kahte ho kyun
zakhm itna bhi gahra nahin
ek muddat se soya hoon main
maut pe koii pahra nahin
khaamkhaan jaan luta di bashar
laut kar koii aaya nahin
इसलिए कोई ठहरा नहीं
इश्क़ था पर भरोसा नहीं
और हैं ख़्वाब इन आँखों में
एक तू ही अकेला नहीं
छोड़ दूँ जीना कहते हो क्यों
ज़ख़्म इतना भी गहरा नहीं
एक मुद्दत से सोया हूँ मैं
मौत पे कोई पहरा नहीं
ख़ामख़ाँ जाँ लुटा दी बशर
लौट कर कोई आया नहीं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari