aaj kuchh yun phir vo mujhko yaad aaya hai
bichhda koii jaise barson baad aaya hai
main likhoon kya is qalam se ai musaafir ab
ho ke vo har rang se azaad aaya hai
ab talak hain nam ye aankhen meri jaane kyun
is zabaan pe to naya ik swaad aaya hai
jaane kiski ye dua kisko lagi hai jo
shehar mein uske naya afraad aaya hai
aur kitne zakhm jaane khaane hain mujhko
jo gali se us ye dil barbaad aaya hai
आज कुछ यूँ फिर वो मुझको याद आया है
बिछड़ा कोई जैसे बरसों बाद आया है
मैं लिखूँ क्या इस क़लम से ऐ मुसाफ़िर अब
हो के वो हर रंग से आज़ाद आया है
अब तलक हैं नम ये आँखें मेरी जाने क्यों
इस ज़बाँ पे तो नया इक स्वाद आया है
जाने किसकी ये दुआ किसको लगी है जो
शहर में उसके नया अफ़राद आया है
और कितने ज़ख़्म जाने खाने हैं मुझको
जो गली से उस ये दिल बर्बाद आया है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari