kya kahein kaise guzaari hai | क्या कहें कैसे गुज़ारी है

  - Ankur Mishra

kya kahein kaise guzaari hai
ik bala hamne utaari hai

chhod do tum haath mera ab
jang khud se meri jaari hai

jaaun lekar main kahaan khud ko
mujh pe meri hi udhaari hai

barson se soya nahin hoon main
aankhon mein ab bhi khumaari hai

kab se jo dekha nahin maine
shaam ik vo pyaari pyaari hai

क्या कहें कैसे गुज़ारी है
इक बला हमने उतारी है

छोड़ दो तुम हाथ मेरा अब
जंग ख़ुद से मेरी जारी है

जाऊँ लेकर मैं कहाँ ख़ुद को
मुझ पे मेरी ही उधारी है

बरसों से सोया नहीं हूँ मैं
आँखों में अब भी ख़ुमारी है

कब से जो देखा नहीं मैंने
शाम इक वो प्यारी प्यारी है

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari