ishq dariya sharaab dekha hai
raat bhar aftaab dekha hai
jhooth kahte hain log sach hai ye
usne mud kar janab dekha hai
kya lagaaun main iski qeemat ab
khushk aankhon mein khwaab dekha hai
bheegte hasraton kii baarish mein
maine bhi intikhaab dekha hai
shehr-dar-shehr dost jaane kyun
aaine pe naqaab dekha hai
इश्क़ दरिया शराब देखा है
रात भर आफ़ताब देखा है
झूठ कहते हैं लोग सच है ये
उसने मुड़ कर जनाब देखा है
क्या लगाऊँ मैं इसकी क़ीमत अब
ख़ुश्क आँखों में ख़्वाब देखा है
भीगते हसरतों की बारिश में
मैंने भी इंतिख़ाब देखा है
शहर-दर-शहर दोस्त जाने क्यों
आइने पे नक़ाब देखा है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari