mausam badal hi jaate hain
jugnoo nikal hi aate hain
bas mein kisi ke kuchh nahin
aakhir mein mar hi jaate hain
main kaise chhodun vo gali
ye raaste ab bhaate hain
jab se hai dekha chaand vo
tab se kahaan so paate hain
मौसम बदल ही जाते हैं
जुगनू निकल ही आते हैं
बस में किसी के कुछ नहीं
आख़िर में मर ही जाते हैं
मैं कैसे छोड़ूँ वो गली
ये रास्ते अब भाते हैं
जब से है देखा चाँद वो
तब से कहाँ सो पाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading Chaand Shayari Shayari