raahguzaar se meri ab guzarta nahin | रहगुज़र से मिरी अब गुज़रता नहीं

  - Ankur Mishra

raahguzaar se meri ab guzarta nahin
vo falak se zameen pe utarta nahin

maana hoon main bhi ab gair uske liye
vaar phir kyun vo mujhpe bhi karta nahin

dekhta hoon main har shab jise khwaab mein
paas pal bhar bhi kyun vo theharta nahin

chhod doon kaise main khud ko uske liye
vo sanam mujhmein jo ab bikharta nahin

aaine sa hai ye chehra uska magar
jaanen kyun yaar vo ab sanwarta nahin

rang main daalta hoon wafa ka magar
pehle sa ye badan ab nikhrta nahin

रहगुज़र से मिरी अब गुज़रता नहीं
वो फ़लक से ज़मीं पे उतरता नहीं

माना हूँ मैं भी अब ग़ैर उसके लिए
वार फिर क्यों वो मुझपे भी करता नहीं

देखता हूँ मैं हर शब जिसे ख़्वाब में
पास पल भर भी क्यों वो ठहरता नहीं

छोड़ दूँ कैसे मैं ख़ुद को उसके लिए
वो सनम मुझमें जो अब बिखरता नहीं

आइने सा है ये चेहरा उसका मगर
जानें क्यों यार वो अब सँवरता नहीं

रंग मैं डालता हूँ वफ़ा का मगर
पहले सा ये बदन अब निखरता नहीं

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari