hamne khud se bhi ulfat nahin kii | हमने ख़ुद से भी उल्फ़त नहीं की - Ankur Mishra

hamne khud se bhi ulfat nahin kii
baad uske mohabbat nahin kii

mar gaya mujhmein main par kisi ne
usse koii shikaayat nahin kii

chhod doon kaise main aadat uski
jiski hamne hifazat nahin kii

khud na dushman ho jaayen khudi ke
isliye bas bagaavat nahin kii

main hoon waqif zamaane se ankur
isliye koii chaahat nahin kii

हमने ख़ुद से भी उल्फ़त नहीं की
बाद उसके मोहब्बत नहीं की

मर गया मुझमें मैं पर किसी ने
उससे कोई शिकायत नहीं की

छोड़ दूँ कैसे मैं आदत उसकी
जिसकी हमनें हिफ़ाज़त नहीं की

ख़ुद न दुश्मन हो जाएँ ख़ुदी के
इसलिए बस बग़ावत नहीं की

मैं हूँ वाक़िफ़ ज़माने से अंकुर
इसलिए कोई चाहत नहीं की

- Ankur Mishra
1 Like

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari