dar-b-dar bezaar hona hai | दर-ब-दर बेज़ार होना है

  - Ankur Mishra

dar-b-dar bezaar hona hai
maan lete hain ki rona hai

muddaton se bah raha hoon main
aur kitna ab dubona hai

rang feke pad gaye saare
hisse mere bas ye kona hai

haal kisko ab bataayein ham
kislie nashtar chubhona hai

dekhte ho kyun mujhe aise
ashk aankhon mein pirona hai

दर-ब-दर बेज़ार होना है
मान लेते हैं कि रोना है

मुद्दतों से बह रहा हूँ मैं
और कितना अब डुबोना है

रंग फीके पड़ गए सारे
हिस्से मेरे बस ये कोना है

हाल किसको अब बताएँ हम
किसलिए नश्तर चुभोना है

देखते हो क्यों मुझे ऐसे
अश्क आँखों में पिरोना है

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari