vasl mein hijr kii baat ho
aisi phir kyun mulaqaat ho
neend aana bhi laazim hai par
baahon mein uski ik raat ho
chhod doonga main ye shehar bhi
pehle phir vo hi barsaat ho
maana qaabil nahin uske main
par mohabbat kii kya zaat ho
uske bin bhi main jee leta par
khatm kaise ye jazbaat ho
वस्ल में हिज्र की बात हो
ऐसी फिर क्यों मुलाक़ात हो
नींद आना भी लाज़िम है पर
बाहों में उसकी इक रात हो
छोड़ दूँगा मैं ये शहर भी
पहले फिर वो ही बरसात हो
माना क़ाबिल नहीं उसके मैं
पर मोहब्बत की क्या ज़ात हो
उसके बिन भी मैं जी लेता पर
ख़त्म कैसे ये जज़्बात हो
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari