bhar na jaaye kahin zakhm darta hoon main
zarra zarra jama khud ko karta hoon main
jhaankte hain dariche dareechon se ab
khidkiyon se sanam parda karta hoon main
kii mohabbat magar aazmaai nahin
isliye pyaas se pyaas bharta hoon main
भर न जाए कहीं ज़ख़्म डरता हूँ मैं
ज़र्रा ज़र्रा जमा ख़ुद को करता हूँ मैं
झाँकते हैं दरीचे दरीचों से अब
खिड़कियों से सनम पर्दा करता हूँ मैं
की मोहब्बत मगर आज़माई नहीं
इसलिए प्यास से प्यास भरता हूँ मैं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari