qaid mutthi mein lage talwaar ho
koii aisa saahib-e-asraar ho
dekh jisko yaad aaye apni par
zindagi uski sanam gulzaar ho
chhod doonga main vo rasta bhi magar
pehle usko to kisi se pyaar ho
maana main qaabil nahin uske magar
dil ye kaise mera par taiyaar ho
maan baitha hoon khuda apna jise
kaise phir manzoor uski haar ho
bhool jaaye vo bhale mujhko magar
ai khuda tanhaa na mera yaar ho
क़ैद मुठ्ठी में लगे तलवार हो
कोई ऐसा साहिब-ए-असरार हो
देख जिसको याद आए अपनी पर
ज़िंदगी उसकी सनम गुलज़ार हो
छोड़ दूँगा मैं वो रस्ता भी मगर
पहले उसको तो किसी से प्यार हो
माना मैं क़ाबिल नहीं उसके मगर
दिल ये कैसे मेरा पर तैयार हो
मान बैठा हूँ ख़ुदा अपना जिसे
कैसे फिर मंजूर उसकी हार हो
भूल जाए वो भले मुझको मगर
ऐ ख़ुदा तन्हा न मेरा यार हो
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari