soorat-e-haal kaise badal jaati hai
haath se zindagi yun nikal jaati hai
chahte ham bhi hain ho savera magar
shaam hote tabiyat machal jaati hai
ek arsa hua khwaab dekhe koii
aaina dekhoon to aankh jal jaati hai
muddaton baad bhi kuchh nahin badla par
waqt se pehle hi shaam dhal jaati hai
kaise jaaun main ab door is shehar se
yaad khud kii mujhe yaar khal jaati hai
सूरत-ए-हाल कैसे बदल जाती है
हाथ से ज़िंदगी यूँ निकल जाती है
चाहते हम भी हैं हो सवेरा मगर
शाम होते तबीयत मचल जाती है
एक अरसा हुआ ख़्वाब देखे कोई
आइना देखूँ तो आँख जल जाती है
मुद्दतों बाद भी कुछ नहीं बदला पर
वक़्त से पहले ही शाम ढल जाती है
कैसे जाऊँ मैं अब दूर इस शहर से
याद ख़ुद की मुझे यार ख़ल जाती है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari