in hasraton ki laash ko dafna raha hoon main
ai zindagi qareeb tere aa raha hoon main
dushman bhi ho to hans ke lagaaun use gale
tanhaaiyon se is qadar ukta raha hoon main
nazren churaake mujhse nikalte hain ba-khuda
fitnaagaron ki aankh ka kaanta raha hoon main
aawaargi na kaam kuchh aayegi be-shaur
khaana-b-dosh dil ko ye samjha raha hoon main
roti rahi hai chashme-pur-ummeed nisf shab
paharon tere khyaal se uljha raha hoon main
aayenge laut aayenge vo ek din zaroor
jhoothi tasalliyon se jee bahla raha hoon main
azaad hoon main theek se pahchaanie mujhe
be-chehergi ka aapki chehra raha hoon main
इन हसरतों की लाश को दफ़ना रहा हूँ मैं
ऐ ज़िन्दगी क़रीब तेरे आ रहा हूँ मैं
दुश्मन भी हो तो हँस के लगाऊँ उसे गले
तन्हाइयों से इस क़दर उक्ता रहा हूँ मैं
नज़रें चुराके मुझसे निकलते हैं बा-ख़ुदा
फ़ित्नागरों की आँख का काँटा रहा हूँ मैं
आवारगी न काम कुछ आएगी बे-शऊर
खाना-ब-दोश दिल को ये समझा रहा हूँ मैं
रोती रही है चश्मे-पुर-उम्मीद निस्फ़ शब
पहरों तेरे ख़याल से उलझा रहा हूँ मैं
आएँगे लौट आएँगे वो एक दिन ज़रूर
झूठी तसल्लियों से जी बहला रहा हूँ मैं
आज़ाद हूँ मैं ठीक से पहचानिए मुझे
बे-चेहरगी का आपकी चेहरा रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Moin Ahmed "Aazad"
our suggestion based on Moin Ahmed "Aazad"
As you were reading Kanta Shayari Shayari