tere liye ye jaan bhi qurbaan hai | तेरे लिए ये जान भी क़ुर्बान है

  - Moin Ahmed "Aazad"

tere liye ye jaan bhi qurbaan hai
meri ghazal ka bas tu hi unwaan hai

samjhi nahin usne ye baatein an-kahi
maasoom hai kitni sanam naadaan hai

main sochta hoon sab khyaalon mein tujhe
jaaun jahaan bas tera hi gun-gaan hai

sab naam se tere bulaate hain mujhe
ab naam tera ye meri pehchaan hai

aa ja ai jaan-e-jaan na tadpa yun mujhe
ye mera ghar tere bina sunsaan hai

moin ko achha kaho chahe bura
iske labon pe har ghadi muskaan hai

तेरे लिए ये जान भी क़ुर्बान है
मेरी ग़ज़ल का बस तू ही उनवान है

समझी नहीं उसने ये बातें अन-कही
मासूम है कितनी सनम नादान है

मैं सोचता हूँ सब ख़यालों में तुझे
जाऊँ जहाँ बस तेरा ही गुन-गान है

सब नाम से तेरे बुलाते हैं मुझे
अब नाम तेरा ये मेरी पहचान है

आ जा ऐ जान-ए-जाँ न तड़पा यूँ मुझे
ये मेरा घर तेरे बिना सुनसान है

"मोईन" को अच्छा कहो चाहे बुरा
इसके लबों पे हर घड़ी मुस्कान है

  - Moin Ahmed "Aazad"

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Moin Ahmed "Aazad"

As you were reading Shayari by Moin Ahmed "Aazad"

Similar Writers

our suggestion based on Moin Ahmed "Aazad"

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari