ulfat ki chot aaho fugaan siskiyaan tamaam
vo mere naam kar gaye bechainiyaan tamaam
zehan aur jigar mein jab bhi machalte hain zalzale
tang aa ke cheekh padtii'n hain khaamoshiyaan tamaam
rakkhenge kab talak mujhe yun hi qatar mein
sun leejie huzoor meri arziyaan tamaam
nafrat ko apne qalb se baahar nikaalie
dariya mein fenk aaiye ye barchiyaan tamaam
phoolon mein tera rang hawaon mein hai mahak
jalwon mein tere jazb hain raanaaiyaan tamaam
shaayad abhi bhi aapko fursat nahin mili
rakhi hain taqche pe meri chitthiyan tamaam
maine jo ik shajar ki hifaazat sanbhaal li
mere hi samt ho gaeein phir aandhiyaan tamaam
ik khwaab dekhta hoon main azaad roz-o-shab
mahfooz hai watan ki mere betiyaan tamaam
उल्फ़त की चोट आहो फ़ुग़ाँ सिसकियाँ तमाम
वो मेरे नाम कर गए बेचैनियाँ तमाम
ज़ेहन और जिगर में जब भी मचलते हैं ज़लज़ले
तंग आ के चीख़ पड़तीं हैं ख़ामोशियाँ तमाम
रक्खेंगे कब तलक मुझे यूँ ही क़तार में
सुन लीजिए हुज़ूर मेरी अर्ज़ियाँ तमाम
नफ़रत को अपने क़ल्ब से बाहर निकालिए
दरिया में फेंक आइए ये बर्छियाँ तमाम
फूलों में तेरा रंग, हवाओं में है महक
जलवों में तेरे जज़्ब हैं रानाइयाँ तमाम
शायद अभी भी आपको फ़ुर्सत नहीं मिली
रक्खी हैं ताक़चे पे मेरी चिट्ठियाँ तमाम
मैंने जो इक शजर की हिफ़ाज़त सँभाल ली
मेरे ही सम्त हो गईं फिर आँधियाँ तमाम
इक ख़्वाब देखता हूँ मैं आज़ाद रोज़ो-शब
महफूज़ है वतन की मेरे बेटियाँ तमाम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Moin Ahmed "Aazad"
our suggestion based on Moin Ahmed "Aazad"
As you were reading Kashmir Shayari Shayari