haan ijaazat hai agar koi kahaani aur hai | हाँ इजाज़त है अगर कोई कहानी और है

  - Munawwar Rana

haan ijaazat hai agar koi kahaani aur hai
in katoron mein abhi thoda sa paani aur hai

mazhabi mazdoor sab baithe hain in ko kaam do
ek imarat shehar mein kaafi puraani aur hai

khaamoshi kab cheekh ban jaaye kise maaloom hai
zulm kar lo jab talak ye be-zabaani aur hai

khushk patte aankh mein chubhte hain kaanton ki tarah
dasht mein phirna alag hai baaghbaani aur hai

phir wahi uktaahten hongi badan chaupaal mein
umr ke qisse mein thodi si jawaani aur hai

bas isee ehsaas ki shiddat ne boodha kar diya
toote-phoote ghar mein ik ladki siyaani aur hai

हाँ इजाज़त है अगर कोई कहानी और है
इन कटोरों में अभी थोड़ा सा पानी और है

मज़हबी मज़दूर सब बैठे हैं इन को काम दो
एक इमारत शहर में काफ़ी पुरानी और है

ख़ामुशी कब चीख़ बन जाए किसे मालूम है
ज़ुल्म कर लो जब तलक ये बे-ज़बानी और है

ख़ुश्क पत्ते आँख में चुभते हैं काँटों की तरह
दश्त में फिरना अलग है बाग़बानी और है

फिर वही उक्ताहटें होंगी बदन चौपाल में
उम्र के क़िस्से में थोड़ी सी जवानी और है

बस इसी एहसास की शिद्दत ने बूढ़ा कर दिया
टूटे-फूटे घर में इक लड़की सियानी और है

  - Munawwar Rana

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari