main is se pehle ki bikharoon idhar udhar ho jaaun | मैं इस से पहले कि बिखरूँ इधर उधर हो जाऊँ - Munawwar Rana

main is se pehle ki bikharoon idhar udhar ho jaaun
mujhe sanbhaal le mumkin hai dar-b-dar ho jaaun

ye aab-o-taab jo mujh mein hai sab usi se hai
agar vo chhod de mujh ko to main khandar ho jaaun

meri madad se khujuroon ki fasl pakne lage
main chahta hoon ki sehra ki dopahar ho jaaun

main aas-paas ke mausam se hoon tar-o-taazaa
main apne jhund se nikloon to be-samar ho jaaun

badi ajeeb si hiddat hai us ki yaadon mein
agar main choo luun paseene se tar-b-tar ho jaaun

main kacchi mitti ki soorat hoon tere haathon mein
mujhe tu dhaal de aise ki mo'tabar ho jaaun

bachi-khuchi hui saanson ke saath pahunchaana
suno hawao agar main shikasta-par ho jaaun

मैं इस से पहले कि बिखरूँ इधर उधर हो जाऊँ
मुझे सँभाल ले मुमकिन है दर-ब-दर हो जाऊँ

ये आब-ओ-ताब जो मुझ में है सब उसी से है
अगर वो छोड़ दे मुझ को तो मैं खंडर हो जाऊँ

मिरी मदद से खुजूरों की फ़स्ल पकने लगे
मैं चाहता हूँ कि सहरा की दोपहर हो जाऊँ

मैं आस-पास के मौसम से हूँ तर-ओ-ताज़ा
मैं अपने झुण्ड से निकलूँ तो बे-समर हो जाऊँ

बड़ी अजीब सी हिद्दत है उस की यादों में
अगर मैं छू लूँ पसीने से तर-ब-तर हो जाऊँ

मैं कच्ची मिट्टी की सूरत हूँ तेरे हाथों में
मुझे तू ढाल दे ऐसे कि मो'तबर हो जाऊँ

बची-खुची हुई साँसों के साथ पहुँचाना
सुनो हवाओ अगर मैं शिकस्ता-पर हो जाऊँ

- Munawwar Rana
1 Like

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari