jamuna mein kal naha kar jab us ne baal baandhe
ham ne bhi apne dil mein kya kya khayal baandhe
aisa shikoh us ki soorat mein hai ki naagah
aave jo saamne se dast-e-majaal baandhe
aankhon se gar kare vo zulfon ko tuk ishaara
aaveñ chale hazaaron wahshi ghazaal baandhe
eesa o khizr tak bhi pahunchen ajal ka muzda
tu teg agar kamar par behar-e-qitaal baandhe
laale ki shaakh hargiz lahke na phir chaman mein
gar sar pe surkh cheera vo naunehaal baandhe
lat aashiqi ki koi jaaye hai aashiqon se
go baadshaah daande go kotwaal baandhe
ham kis tarah se dekhen jab de de pech lad ke
cheere ke pechon mein to zulfon ke baal baandhe
banda hoon main to us ki aankhon ki sahiri ka
taar-e-nazar se jis ne sahab-kamaal baandhe
ham ek bose ke bhi mamnu' nahin kisi ke
chahe so koi tohmat roz-e-visaal baandhe
soz-e-dil apna us ko kya musahfi sunaaven
aago hi vo phire hai kaanon se shaal baandhe
जमुना में कल नहा कर जब उस ने बाल बाँधे
हम ने भी अपने दिल में क्या क्या ख़याल बाँधे
ऐसा शिकोह उस की सूरत में है कि नागह
आवे जो सामने से दस्त-ए-मजाल बाँधे
आँखों से गर करे वो ज़ुल्फ़ों को टुक इशारा
आवें चले हज़ारों वहशी ग़ज़ाल बाँधे
ईसा ओ ख़िज़्र तक भी पहुँचे अजल का मुज़्दा
तू तेग़ अगर कमर पर बहर-ए-क़िताल बाँधे
लाले की शाख़ हरगिज़ लहके न फिर चमन में
गर सर पे सुर्ख़ चीरा वो नौनिहाल बाँधे
लत आशिक़ी की कोई जाए है आशिक़ों से
गो बादशाह डाँडे गो कोतवाल बाँधे
हम किस तरह से देखें जब दे दे पेच लड़ के
चीरे के पेचों में तो ज़ुल्फ़ों के बाल बाँधे
बंदा हूँ मैं तो उस की आँखों की साहिरी का
तार-ए-नज़र से जिस ने साहब-कमाल बाँधे
हम एक बोसे के भी ममनूँ नहीं किसी के
चाहे सो कोई तोहमत रोज़-ए-विसाल बाँधे
सोज़-ए-दिल अपना उस को क्या 'मुसहफ़ी' सुनावें
आगो ही वो फिरे है कानों से शाल बाँधे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mushafi Ghulam Hamdani
our suggestion based on Mushafi Ghulam Hamdani
As you were reading Zulf Shayari Shayari