is raaz ko kya jaanen saahil ke tamaashaai | इस राज़ को क्या जानें साहिल के तमाशाई

  - Muzaffar Razmi

is raaz ko kya jaanen saahil ke tamaashaai
ham doob ke samjhe hain dariya tiri gehraai

jaag ai mere ham-saaya khwaabon ke tasalsul se
deewaar se aangan mein ab dhoop utar aayi

chalte hue baadal ke saaye ke ta'aqub mein
ye tishna-labi mujh ko seharaaon mein le aayi

ye jabr bhi dekha hai taarikh ki nazaron ne
lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza paai

kya saanehaa yaad aaya razmi ki tabaahi ka
kyun aap ki naazuk si aankhon mein nami aayi

इस राज़ को क्या जानें साहिल के तमाशाई
हम डूब के समझे हैं दरिया तिरी गहराई

जाग ऐ मिरे हम-साया ख़्वाबों के तसलसुल से
दीवार से आंगन में अब धूप उतर आई

चलते हुए बादल के साए के तआक़ुब में
ये तिश्ना-लबी मुझ को सहराओं में ले आई

ये जब्र भी देखा है तारीख़ की नज़रों ने
लम्हों ने ख़ता की थी सदियों ने सज़ा पाई

क्या सानेहा याद आया 'रज़्मी' की तबाही का
क्यूं आप की नाज़ुक सी आंखों में नमी आई

  - Muzaffar Razmi

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muzaffar Razmi

As you were reading Shayari by Muzaffar Razmi

Similar Writers

our suggestion based on Muzaffar Razmi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari