shaam-e-gham hai tiri yaadon ko saja rakha hai | शाम-ए-ग़म है तिरी यादों को सजा रक्खा है

  - Muzaffar Razmi

shaam-e-gham hai tiri yaadon ko saja rakha hai
main ne daanista charaagon ko bujha rakha hai

aur kya doon main gulistaan se mohabbat ka suboot
main ne kaanton ko bhi palkon pe saja rakha hai

jaane kyun barq ko is samt tavajjoh hi nahin
main ne har tarah nasheeman ko saja rakha hai

zindagi saanson ka tapta hua sehra hi sahi
main ne is ret pe ik qasr bana rakha hai

vo mere saamne dulhan ki tarah baithe hain
khwaab achha hai magar khwaab mein kya rakha hai

khud sunaata hai unhen meri mohabbat ke khutoot
phir bhi qaasid ne mera naam chhupa rakha hai

kuchh na kuchh talkhi-e-haalat hai shaamil razmi
tum ne phoolon se bhi daaman jo bacha rakha hai

शाम-ए-ग़म है तिरी यादों को सजा रक्खा है
मैं ने दानिस्ता चराग़ों को बुझा रक्खा है

और क्या दूँ मैं गुलिस्ताँ से मोहब्बत का सुबूत
मैं ने काँटों को भी पलकों पे सजा रक्खा है

जाने क्यूँ बर्क़ को इस सम्त तवज्जोह ही नहीं
मैं ने हर तरह नशेमन को सजा रक्खा है

ज़िंदगी साँसों का तपता हुआ सहरा ही सही
मैं ने इस रेत पे इक क़स्र बना रक्खा है

वो मिरे सामने दुल्हन की तरह बैठे हैं
ख़्वाब अच्छा है मगर ख़्वाब में क्या रक्खा है

ख़ुद सुनाता है उन्हें मेरी मोहब्बत के ख़ुतूत
फिर भी क़ासिद ने मिरा नाम छुपा रक्खा है

कुछ न कुछ तल्ख़ी-ए-हालात है शामिल 'रज़्मी'
तुम ने फूलों से भी दामन जो बचा रक्खा है

  - Muzaffar Razmi

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muzaffar Razmi

As you were reading Shayari by Muzaffar Razmi

Similar Writers

our suggestion based on Muzaffar Razmi

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari