dayaar-e-dil ki raat mein charaagh sa jala gaya | दयार-ए-दिल की रात में चराग़ सा जला गया

  - Nasir Kazmi

dayaar-e-dil ki raat mein charaagh sa jala gaya
mila nahin to kya hua vo shakl to dikha gaya

vo dosti to khair ab naseeb-e-dushmanan hui
vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya

judaaiyon ke zakham dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gaya

pukaarti hain fursatein kahaan gaeein vo sohbaten
zameen nigal gai unhen ki aasmaan kha gaya

ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan
ab aaine mein dekhta hoon main kahaan chala gaya

ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gai
vo lehar kis taraf gai ye main kahaan samaa gaya

gaye dinon ki laash par pade rahoge kab talak
alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya

दयार-ए-दिल की रात में चराग़ सा जला गया
मिला नहीं तो क्या हुआ वो शक्ल तो दिखा गया

वो दोस्ती तो ख़ैर अब नसीब-ए-दुश्मनाँ हुई
वो छोटी छोटी रंजिशों का लुत्फ़ भी चला गया

जुदाइयों के ज़ख़्म दर्द-ए-ज़िंदगी ने भर दिए
तुझे भी नींद आ गई मुझे भी सब्र आ गया

पुकारती हैं फ़ुर्सतें कहाँ गईं वो सोहबतें
ज़मीं निगल गई उन्हें कि आसमान खा गया

ये सुब्ह की सफ़ेदियाँ ये दोपहर की ज़र्दियाँ
अब आइने में देखता हूँ मैं कहाँ चला गया

ये किस ख़ुशी की रेत पर ग़मों को नींद आ गई
वो लहर किस तरफ़ गई ये मैं कहाँ समा गया

गए दिनों की लाश पर पड़े रहोगे कब तलक
अलम-कशो उठो कि आफ़्ताब सर पे आ गया

  - Nasir Kazmi

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nasir Kazmi

As you were reading Shayari by Nasir Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Nasir Kazmi

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari