naasir kya kehta firta hai kuchh na suno to behtar hai | 'नासिर' क्या कहता फिरता है कुछ न सुनो तो बेहतर है

  - Nasir Kazmi

naasir kya kehta firta hai kuchh na suno to behtar hai
deewaana hai deewane ke munh na lago to behtar hai

kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega
rookhi-sookhi jo mil jaaye shukr karo to behtar hai

kal ye taab-o-tawaan na rahegi thanda ho jaayega lahu
naam-e-khuda ho jawaan abhi kuchh kar guzaro to behtar hai

kya jaane kya rut badle haalaat ka koi theek nahin
ab ke safar mein tum bhi hamaare saath chalo to behtar hai

kapde badal kar baal bana kar kahaan chale ho kis ke liye
raat bahut kaali hai naasir ghar mein raho to behtar hai

'नासिर' क्या कहता फिरता है कुछ न सुनो तो बेहतर है
दीवाना है दीवाने के मुँह न लगो तो बेहतर है

कल जो था वो आज नहीं जो आज है कल मिट जाएगा
रूखी-सूखी जो मिल जाए शुक्र करो तो बेहतर है

कल ये ताब-ओ-तवाँ न रहेगी ठंडा हो जाएगा लहू
नाम-ए-ख़ुदा हो जवान अभी कुछ कर गुज़रो तो बेहतर है

क्या जाने क्या रुत बदले हालात का कोई ठीक नहीं
अब के सफ़र में तुम भी हमारे साथ चलो तो बेहतर है

कपड़े बदल कर बाल बना कर कहाँ चले हो किस के लिए
रात बहुत काली है 'नासिर' घर में रहो तो बेहतर है

  - Nasir Kazmi

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nasir Kazmi

As you were reading Shayari by Nasir Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Nasir Kazmi

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari