naye kapde badal kar jaaun kahaan aur baal banaaun kis ke liye
vo shakhs to shehar hi chhod gaya main baahar jaaun kis ke liye
jis dhoop ki dil mein thandak thi vo dhoop usi ke saath gai
in jaltee baltee galiyon mein ab khaak udaaun kis ke liye
vo shehar mein tha to us ke liye auron se bhi milna padta tha
ab aise-vaise logon ke main naaz uthaaun kis ke liye
ab shehar mein us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin
aiwaan-e-ghazal mein lafzon ke gul-daan sajaun kis ke liye
muddat se koi aaya na gaya sunsaan padi hai ghar ki fazaa
in khaali kamron mein naasir ab sham'a jalaaun kis ke liye

नए कपड़े बदल कर जाऊँ कहाँ और बाल बनाऊँ किस के लिए
वो शख़्स तो शहर ही छोड़ गया मैं बाहर जाऊँ किस के लिए
जिस धूप की दिल में ठंडक थी वो धूप उसी के साथ गई
इन जलती बलती गलियों में अब ख़ाक उड़ाऊँ किस के लिए
वो शहर में था तो उस के लिए औरों से भी मिलना पड़ता था
अब ऐसे-वैसे लोगों के मैं नाज़ उठाऊँ किस के लिए
अब शहर में उस का बदल ही नहीं कोई वैसा जान-ए-ग़ज़ल ही नहीं
ऐवान-ए-ग़ज़ल में लफ़्ज़ों के गुल-दान सजाऊँ किस के लिए
मुद्दत से कोई आया न गया सुनसान पड़ी है घर की फ़ज़ा
इन ख़ाली कमरों में 'नासिर' अब शम्अ जलाऊँ किस के लिए

Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nasir Kazmi
our suggestion based on Nasir Kazmi
As you were reading Zulf Shayari Shayari