jabeen pe dhoop si aankhon mein kuchh haya si hai | जबीं पे धूप सी आँखों में कुछ हया सी है 

  - Nasir Kazmi

jabeen pe dhoop si aankhon mein kuchh haya si hai
tu ajnabi hai magar shakl aashna si hai

khayal hi nahin aata kisi museebat ka
tire khayal mein har baat gham-ruba si hai

jahaan mein yun to kise chain hai magar pyaare
ye tere phool se chehre pe kyun udaasi hai

dil-e-gami se bhi jalte hain shaadmaan-e-hayaat
usi charaagh ki ab shehar mein hawa si hai

humeen se aankh churaata hai us ka har zarra
magar ye khaak hamaare hi khun ki pyaasi hai

udaas firta hoon main jis ki dhun mein barson se
yoonhi si hai vo khushi baat vo zara si hai

chahakte bolte shehron ko kya hua naasir
ki din ko bhi mere ghar mein wahi udaasi hai

जबीं पे धूप सी आँखों में कुछ हया सी है 
तू अजनबी है मगर शक्ल आश्ना सी है 

ख़याल ही नहीं आता किसी मुसीबत का 
तिरे ख़याल में हर बात ग़म-रुबा सी है 

जहाँ में यूँ तो किसे चैन है मगर प्यारे 
ये तेरे फूल से चेहरे पे क्यूँ उदासी है 

दिल-ए-गमीं से भी जलते हैं शादमान-ए-हयात 
उसी चराग़ की अब शहर में हवा सी है 

हमीं से आँख चुराता है उस का हर ज़र्रा 
मगर ये ख़ाक हमारे ही ख़ूँ की प्यासी है 

उदास फिरता हूँ मैं जिस की धुन में बरसों से 
यूँही सी है वो ख़ुशी बात वो ज़रा सी है 

चहकते बोलते शहरों को क्या हुआ 'नासिर' 
कि दिन को भी मिरे घर में वही उदासी है 

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nasir Kazmi

As you were reading Shayari by Nasir Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Nasir Kazmi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari