kitni sharmeeli lajeeli hai hawa barsaat ki | कितनी शर्मीली लजीली है हवा बरसात की

  - Nazeer Banarasi

kitni sharmeeli lajeeli hai hawa barsaat ki
milti hai un ki ada se har ada barsaat ki

jaane kis mahiwaal se aati hai milne ke liye
sohni gaati hui saundhi hawa barsaat ki

us ke ghar bhi tujh ko aana chahiye tha ai bahaar
jis ne sab ke vaaste maangi dua barsaat ki

ab ki baarish mein na rah jaaye kisi ke dil mein mail
sab ki gagri dho ke bhar de ai ghatta barsaat ki

dekhiye kuchh aise bhi beemaar hain barsaat ke
botlon mein le ke nikle hain dava barsaat ki

jeb apni dekh kar mausam se yaari kijie
ab ki mahangi hai bahut aab-o-hawa barsaat ki

baadlon ki ghan-garaj ko sun ke bacche ki tarah
chaunk chaunk uthati hai rah rah kar fazaa barsaat ki

raaste mein tum agar bheege to khafgee mujh pe kyun
mere munsif pe khata meri hai ya barsaat ki

ham to baarish mein khuli chat par na soyeinge nazeer
aap tanhaa apne sar lijye bala barsaat ki

कितनी शर्मीली लजीली है हवा बरसात की
मिलती है उन की अदा से हर अदा बरसात की

जाने किस महिवाल से आती है मिलने के लिए
सोहनी गाती हुई सौंधी हवा बरसात की

उस के घर भी तुझ को आना चाहिए था ऐ बहार
जिस ने सब के वास्ते माँगी दुआ बरसात की

अब की बारिश में न रह जाए किसी के दिल में मैल
सब की गगरी धो के भर दे ऐ घटा बरसात की

देखिए कुछ ऐसे भी बीमार हैं बरसात के
बोतलों में ले के निकले हैं दवा बरसात की

जेब अपनी देख कर मौसम से यारी कीजिए
अब की महँगी है बहुत आब-ओ-हवा बरसात की

बादलों की घन-गरज को सुन के बच्चे की तरह
चौंक चौंक उठती है रह रह कर फ़ज़ा बरसात की

रास्ते में तुम अगर भीगे तो ख़फ़्गी मुझ पे क्यूँ
मेरे मुंसिफ़ पे ख़ता मेरी है या बरसात की

हम तो बारिश में खुली छत पर न सोएँगे 'नज़ीर'
आप तन्हा अपने सर लीजे बला बरसात की

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Banarasi

As you were reading Shayari by Nazeer Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Banarasi

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari