kahi pade na mohabbat ki maar holi mein | कहीं पड़े न मोहब्बत की मार होली में - Nazeer Banarasi

kahi pade na mohabbat ki maar holi mein
ada se prem karo dil se pyaar holi mein
gale mein daal do baanhon ka haar holi mein
utaaro ek baras ka khumaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

laga ke aag badhi aage raat ki jogan
naye libaas mein aayi hai subh ki maalan
nazar nazar hai kunvaari ada ada kamsin
hain rang rang se sab rang-baar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

hawa har ek ko chal phir ke gudgudaati hai
nahin jo hanste unhen chhed kar hansaati hai
haya gulon ko to kaliyon ko sharm aati hai
badhaao badh ke chaman ka vaqaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

ye kis ne rang bhara har kali ki pyaali mein
gulaal rakh diya kis ne gulon ki thaali mein
kahaan ki masti hai maalan mein aur maali mein
yahi hain saare chaman ki pukaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

tumheen se phool chaman ke tumheen se fulwaari
sajaaye jaao dilon ke gulaab ki kyaari
chalaae jaao nasheeli nazar se pichkaari
lutaaye jaao barabar bahaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

mile ho baara maheenon ki dekh-bhaal ke b'ad
ye din sitaare dikhaate hain kitni chaal ke b'ad
ye din gaya to phir aayega ek saal ke b'ad
nigaahen karte chalo chaar yaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

buraai aaj na aise rahe na vaise rahe
safaai dil mein rahe aaj chahe jaise rahe
ghubaar dil mein kisi ke rahe to kaise rahe
abeer udti hai ban kar ghubaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

haya mein doobne waale bhi aaj ubharte hain
haseen shokhiyaan karte hue guzarte hain
jo chot se kabhi bachte the chot karte hain
hiran bhi khel rahe hain shikaar holi mein

कहीं पड़े न मोहब्बत की मार होली में
अदा से प्रेम करो दिल से प्यार होली में
गले में डाल दो बाँहों का हार होली में
उतारो एक बरस का ख़ुमार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

लगा के आग बढ़ी आगे रात की जोगन
नए लिबास में आई है सुब्ह की मालन
नज़र नज़र है कुँवारी अदा अदा कमसिन
हैं रंग रंग से सब रंग-बार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

हवा हर एक को चल फिर के गुदगुदाती है
नहीं जो हँसते उन्हें छेड़ कर हंसाती है
हया गुलों को तो कलियों को शर्म आती है
बढ़ाओ बढ़ के चमन का वक़ार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

ये किस ने रंग भरा हर कली की प्याली में
गुलाल रख दिया किस ने गुलों की थाली में
कहाँ की मस्ती है मालन में और माली में
यही हैं सारे चमन की पुकार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

तुम्हीं से फूल चमन के तुम्हीं से फुलवारी
सजाए जाओ दिलों के गुलाब की क्यारी
चलाए जाओ नशीली नज़र से पिचकारी
लुटाए जाओ बराबर बहार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

मिले हो बारा महीनों की देख-भाल के ब'अद
ये दिन सितारे दिखाते हैं कितनी चाल के ब'अद
ये दिन गया तो फिर आएगा एक साल के ब'अद
निगाहें करते चलो चार यार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

बुराई आज न ऐसे रहे न वैसे रहे
सफ़ाई दिल में रहे आज चाहे जैसे रहे
ग़ुबार दिल में किसी के रहे तो कैसे रहे
अबीर उड़ती है बन कर ग़ुबार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

हया में डूबने वाले भी आज उभरते हैं
हसीन शोख़ियाँ करते हुए गुज़रते हैं
जो चोट से कभी बचते थे चोट करते हैं
हिरन भी खेल रहे हैं शिकार होली में

- Nazeer Banarasi
1 Like

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Banarasi

As you were reading Shayari by Nazeer Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Banarasi

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari