apna gham le ke kahi aur na jaaya jaaye
ghar mein bikhri hui cheezein ko sajaaya jaaye
jin charaagon ko hawaon ka koi khauf nahin
un charaagon ko hawaon se bachaaya jaaye
khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein
aur kuchh din abhi auron ko sataaya jaaye
baagh mein jaane ke aadaab hua karte hain
kisi titli ko na phoolon se udaaya jaaye
kya hua shehar ko kuchh bhi to dikhaai de kahi
yun kiya jaaye kabhi khud ko rulaaya jaaye
ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar len
kisi rote hue bacche ko hansaaya jaaye
अपना ग़म ले के कहीं और न जाया जाए
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाए
जिन चराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं
उन चराग़ों को हवाओं से बचाया जाए
ख़ुद-कुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन अभी औरों को सताया जाए
बाग़ में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाए
क्या हुआ शहर को कुछ भी तो दिखाई दे कहीं
यूँ किया जाए कभी ख़ुद को रुलाया जाए
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Religion Shayari Shayari