ek chidiya | "एक चिड़िया"

  - Nida Fazli

ek chidiya

jaamun ki ik shaakh pe baithi ik chidiya
hare hare patton mein chap kar gaati hai
nanhe nanhe teer chalaae jaati hai
aur phir apne aap hi kuchh uktaai si
chun chun karti par tole ud jaati hai
dhundla dhundla daagh sa banti jaati hai
main apne aangan mein khoya khoya sa
aahista aahista ghulta jaata hoon
kisi parinde ke par sa lehraata hoon
door gagan ki ujaali peshaani par
dhundla dhundla daagh sa banta jaata hoon

"एक चिड़िया"

जामुन की इक शाख़ पे बैठी इक चिड़िया
हरे हरे पत्तों में छप कर गाती है
नन्हे नन्हे तीर चलाए जाती है
और फिर अपने आप ही कुछ उकताई सी
चूँ चूँ करती पर तोले उड़ जाती है
धुँदला धुँदला दाग़ सा बनती जाती है
मैं अपने आँगन में खोया खोया सा
आहिस्ता आहिस्ता घुलता जाता हूँ
किसी परिंदे के पर सा लहराता हूँ
दूर गगन की उजयाली पेशानी पर
धुँदला धुँदला दाग़ सा बनता जाता हूँ

  - Nida Fazli

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari