nasl ye jo rab se minnat maangti hai | नस्ल ये जो रब से मिन्नत माँगती है

  - Parul Singh "Noor"

nasl ye jo rab se minnat maangti hai
thodi mehnat bhi to qismat maangti hai

chubhti hai aazaadiyaan us ki jahaan ko
jab ik aurat haq ki daulat maangti hai

ik wafa do lafz tezi yaar ki si
kuchh ziyaada kab mohabbat maangti hai

haq tha baba pe na thi jab tak biyaahi
aane ko ghar ab ijaazat maangti hai

din gaye jab rooh ka rishta thi chaahat
ab mohabbat bhi nazaakat maangti hai

नस्ल ये जो रब से मिन्नत माँगती है
थोड़ी मेहनत भी तो क़िस्मत माँगती है

चुभती है आज़ादियाँ उस की जहाँ को
जब इक औरत हक़ की दौलत माँगती है

इक वफ़ा दो लफ़्ज़ तेज़ी यार की सी
कुछ ज़ियादा कब मोहब्बत माँगती है

हक़ था बाबा पे ना थी जब तक बियाही
आने को घर अब इजाज़त माँगती है

दिन गए जब रूह का रिश्ता थी चाहत
अब मोहब्बत भी नज़ाकत माँगती है

  - Parul Singh "Noor"

Chaahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parul Singh "Noor"

As you were reading Shayari by Parul Singh "Noor"

Similar Writers

our suggestion based on Parul Singh "Noor"

Similar Moods

As you were reading Chaahat Shayari Shayari