ham ne hi lautne ka iraada nahin kiya
us ne bhi bhool jaane ka wa'da nahin kiya
dukh odhte nahin kabhi jashn-e-tarab mein ham
malboos-e-dil ko tan ka labaada nahin kiya
jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud
sar zer-e-baar-e-saagar-o-baada nahin kiya
kaar-e-jahaan hamein bhi bahut the safar ki shaam
us ne bhi iltifaat ziyaada nahin kiya
aamad pe teri itr o charaagh o suboo na hon
itna bhi bood-o-baash ko saada nahin kiya
हम ने ही लौटने का इरादा नहीं किया
उस ने भी भूल जाने का वा'दा नहीं किया
दुख ओढ़ते नहीं कभी जश्न-ए-तरब में हम
मल्बूस-ए-दिल को तन का लबादा नहीं किया
जो ग़म मिला है बोझ उठाया है उस का ख़ुद
सर ज़ेर-ए-बार-ए-साग़र-ओ-बादा नहीं किया
कार-ए-जहाँ हमें भी बहुत थे सफ़र की शाम
उस ने भी इल्तिफ़ात ज़ियादा नहीं किया
आमद पे तेरी इत्र ओ चराग़ ओ सुबू न हों
इतना भी बूद-ओ-बाश को सादा नहीं किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Sad Shayari Shayari