ghar se ye soch ke nikla hoon ki mar jaana hai | घर से ये सोच के निकला हूँ कि मर जाना है - Rahat Indori

ghar se ye soch ke nikla hoon ki mar jaana hai
ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai

jism se saath nibhaane ki mat ummeed rakho
is musaafir ko to raaste mein thehar jaana hai

maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukaar
main yahi soch ke zinda hoon ki mar jaana hai

nashsha aisa tha ki may-khaane ko duniya samjha
hosh aaya to khayal aaya ki ghar jaana hai

mere jazbe ki badi qadr hai logon mein magar
mere jazbe ko mere saath hi mar jaana hai

घर से ये सोच के निकला हूँ कि मर जाना है
अब कोई राह दिखा दे कि किधर जाना है

जिस्म से साथ निभाने की मत उम्मीद रखो
इस मुसाफ़िर को तो रस्ते में ठहर जाना है

मौत लम्हे की सदा ज़िंदगी उम्रों की पुकार
मैं यही सोच के ज़िंदा हूँ कि मर जाना है

नश्शा ऐसा था कि मय-ख़ाने को दुनिया समझा
होश आया तो ख़याल आया कि घर जाना है

मिरे जज़्बे की बड़ी क़द्र है लोगों में मगर
मेरे जज़्बे को मिरे साथ ही मर जाना है

- Rahat Indori
16 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari