use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi
magar is baar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi
iraada tha ki main kuchh der toofaan ka maza leta
magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi
main apni mutthiyon mein qaid kar leta zameenon ko
magar mere qabeele ko bikhar jaane ki jaldi thi
main aakhir kaun sa mausam tumhaare naam kar deta
yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi
vo shaakhon se juda hote hue patton pe hanste the
bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi
main saabit kis tarah karta ki har aaina jhoota hai
kai kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi
उसे अब के वफ़ाओं से गुज़र जाने की जल्दी थी
मगर इस बार मुझ को अपने घर जाने की जल्दी थी
इरादा था कि मैं कुछ देर तूफ़ाँ का मज़ा लेता
मगर बेचारे दरिया को उतर जाने की जल्दी थी
मैं अपनी मुट्ठियों में क़ैद कर लेता ज़मीनों को
मगर मेरे क़बीले को बिखर जाने की जल्दी थी
मैं आख़िर कौन सा मौसम तुम्हारे नाम कर देता
यहाँ हर एक मौसम को गुज़र जाने की जल्दी थी
वो शाख़ों से जुदा होते हुए पत्तों पे हँसते थे
बड़े ज़िंदा-नज़र थे जिन को मर जाने की जल्दी थी
मैं साबित किस तरह करता कि हर आईना झूटा है
कई कम-ज़र्फ़ चेहरों को उतर जाने की जल्दी थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Aaina Shayari Shayari