umr-bhar ishq kisi taur na kam ho aameen
dil ko har roz ata ne'mat-e-gham ho aameen
mere kaase ko hai bas chaar hi sikko ki talab
ishq ho waqt ho kaaghaz ho qalam ho aameen
hujra-e-zaat mein ya mehfil-e-yaaraan mein rahoon
fikr duniya ki mujhe ho bhi to kam ho aameen
jab main khaamosh rahoon raunaq-e-mehfil thehroon
aur jab baat karoon baat mein dam ho aameen
log chahein bhi to ham ko na juda kar paaye
yun meri zaat tiri zaat mein zam ho aameen
ishq mein doob ke jo kuchh bhi likhoon kaaghaz par
khud-bakhud lauh-e-zamaana pe raqam ho aameen
na dara paaye mujhe teergi-e-dasht-e-firaq
har taraf roshni-e-deeda-e-nam ho aameen
meer ke sadqe mere harf ko darveshi mile
door mujh se hawas-e-daam-o-dirm ho aameen
mere kaanon ne suna hai tire baare mein bahut
meri aankhon pe bhi thoda sa karam ho aameen
jab zameen aakhiri hiddat se pighalne lag jaaye
ishq ki chaanv mere sar ko bahm ho aameen
उम्र-भर इश्क़ किसी तौर न कम हो आमीन
दिल को हर रोज़ अता ने'मत-ए-ग़म हो आमीन
मेरे कासे को है बस चार ही सिक्कों की तलब
इश्क़ हो वक़्त हो काग़ज़ हो क़लम हो आमीन
हुजरा-ए-ज़ात में या महफ़िल-ए-याराँ में रहूँ
फ़िक्र दुनिया की मुझे हो भी तो कम हो आमीन
जब मैं ख़ामोश रहूँ रौनक़-ए-महफ़िल ठहरूँ
और जब बात करूँ बात में दम हो आमीन
लोग चाहें भी तो हम को न जुदा कर पाएँ
यूँ मिरी ज़ात तिरी ज़ात में ज़म हो आमीन
इश्क़ में डूब के जो कुछ भी लिखूँ काग़ज़ पर
ख़ुद-बख़ुद लौह-ए-ज़माना पे रक़म हो आमीन
न डरा पाए मुझे तीरगी-ए-दश्त-ए-फ़िराक़
हर तरफ़ रौशनी-ए-दीदा-ए-नम हो आमीन
'मीर' के सदक़े मिरे हर्फ़ को दरवेशी मिले
दूर मुझ से हवस-ए-दाम-ओ-दिरम हो आमीन
मेरे कानों ने सुना है तिरे बारे में बहुत
मेरी आँखों पे भी थोड़ा सा करम हो आमीन
जब ज़मीं आख़िरी हिद्दत से पिघलने लग जाए
इश्क़ की छाँव मिरे सर को बहम हो आमीन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehman Faris
our suggestion based on Rehman Faris
As you were reading Wajood Shayari Shayari