main car-aamad hoon ya be-kaar hoon main
magar ai yaar tera yaar hoon main
jo dekha hai kisi ko mat bataana
ilaaqe bhar mein izzat-daar hoon main
khud apni zaat ke armaaye mein bhi
sifar feesad ka hisse-daar hoon main
aur ab kyun bein karte aa gaye hon
kaha tha na bahut beemaar hoon main
meri to saari duniya bas tumhi ho
galat kya hai jo duniya-daar hoon main
kahaani mein jo hota hi nahin hai
kahaani ka wahi kirdaar hoon main
ye tay karta hai dastak dene waala
kahaan dar hoon kahaan deewaar hoon main
koi samjhaaye mere dushmanon ko
zara si dosti ki maar hoon main
mujhe patthar samajh kar pesh mat aa
zara sa rehm kar jaan-daar hoon main
bas itna soch kar kijeye koi hukm
bada munh-zor khidmat-gaar hoon main
koi shak hai to be-shak aazma le
tira hone ka da'we-daar hoon main
agar har haal mein khush rahna fan hai
to phir sab se bada fankaar hoon main
zamaana to mujhe kehta hai faaris
magar faaris ka parda-daar hoon main
unhen khilna sikhaata hoon main faaris
gulaabon ka suhoolat-kaar hoon main
मैं कार-आमद हूँ या बे-कार हूँ मैं
मगर ऐ यार तेरा यार हूँ मैं
जो देखा है किसी को मत बताना
इलाक़े भर में इज़्ज़त-दार हूँ मैं
ख़ुद अपनी ज़ात के सरमाए में भी
सिफ़र फ़ीसद का हिस्से-दार हूँ मैं
और अब क्यूँ बैन करते आ गए हों
कहा था ना बहुत बीमार हूँ मैं
मिरी तो सारी दुनिया बस तुम्ही हो
ग़लत क्या है जो दुनिया-दार हूँ मैं
कहानी में जो होता ही नहीं है
कहानी का वही किरदार हूँ मैं
ये तय करता है दस्तक देने वाला
कहाँ दर हूँ कहाँ दीवार हूँ मैं
कोई समझाए मेरे दुश्मनों को
ज़रा सी दोस्ती की मार हूँ मैं
मुझे पत्थर समझ कर पेश मत आ
ज़रा सा रहम कर जाँ-दार हूँ मैं
बस इतना सोच कर कीजे कोई हुक्म
बड़ा मुँह-ज़ोर ख़िदमत-गार हूँ मैं
कोई शक है तो बे-शक आज़मा ले
तिरा होने का दा'वे-दार हूँ मैं
अगर हर हाल में ख़ुश रहना फ़न है
तो फिर सब से बड़ा फ़नकार हूँ मैं
ज़माना तो मुझे कहता है 'फ़ारिस'
मगर 'फ़ारिस' का पर्दा-दार हूँ मैं
उन्हें खिलना सिखाता हूँ मैं 'फ़ारिस'
गुलाबों का सुहूलत-कार हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehman Faris
our suggestion based on Rehman Faris
As you were reading Duniya Shayari Shayari