sukoot-e-shaam mein goonji sada udaasi ki | सुकूत-ए-शाम में गूँजी सदा उदासी की

  - Rehman Faris

sukoot-e-shaam mein goonji sada udaasi ki
ki hai mazid udaasi dava udaasi ki

bahut shareer tha main aur hansta firta tha
phir ik faqeer ne de di dua udaasi ki

umoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhl nahin
yahan faqat tiri chalti hai ya udaasi ki

charaagh-e-dil ko zara ehtiyaat se rakhna
ki aaj raat chalegi hawa udaasi ki

vo imtizaaj tha aisa ki dang thi har aankh
jamaal-e-yaar ne pahni qaba udaasi ki

isee umeed pe aankhen barasti rahti hain
ki ek din to sunega khuda udaasi ki

shajar ne poocha ki tujh mein ye kis ki khushboo hai
hawa-e-shaam-e-alam ne kaha udaasi ki

dil-e-fasurda ko main ne to maar hi daala
so main to theek hoon ab tu suna udaasi ki

zara sa choo len to ghanton dahakti rahti hai
hamein to maar gai ye ada udaasi ki

bahut dinon se main us se nahin mila faaris
kahi se khair-khabar le ke aa udaasi ki

सुकूत-ए-शाम में गूँजी सदा उदासी की
कि है मज़ीद उदासी दवा उदासी की

बहुत शरीर था मैं और हँसता फिरता था
फिर इक फ़क़ीर ने दे दी दुआ उदासी की

उमूर-ए-दिल में किसी तीसरे का दख़्ल नहीं
यहाँ फ़क़त तिरी चलती है या उदासी की

चराग़-ए-दिल को ज़रा एहतियात से रखना
कि आज रात चलेगी हवा उदासी की

वो इम्तिज़ाज था ऐसा कि दंग थी हर आँख
जमाल-ए-यार ने पहनी क़बा उदासी की

इसी उमीद पे आँखें बरसती रहती हैं
कि एक दिन तो सुनेगा ख़ुदा उदासी की

शजर ने पूछा कि तुझ में ये किस की ख़ुशबू है
हवा-ए-शाम-ए-अलम ने कहा उदासी की

दिल-ए-फ़सुर्दा को मैं ने तो मार ही डाला
सो मैं तो ठीक हूँ अब तू सुना उदासी की

ज़रा सा छू लें तो घंटों दहकती रहती है
हमें तो मार गई ये अदा उदासी की

बहुत दिनों से मैं उस से नहीं मिला 'फ़ारिस'
कहीं से ख़ैर-ख़बर ले के आ उदासी की

  - Rehman Faris

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehman Faris

As you were reading Shayari by Rehman Faris

Similar Writers

our suggestion based on Rehman Faris

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari