yahi dua hai yahi hai salaam ishq b-khair
mere sabhi rufqa-e-kiraam ishq b-khair
dayaar-e-hijr ki sooni udaas galiyon mein
pukaarta hai koi subh-o-shaam ishq b-khair
main kar raha tha dua ki guzaarishein us se
so kah gai hai udaasi ki shaam ishq b-khair
bade ajeeb hain shahr-e-junoon ke baashinde
hamesha kahte hain ba'd-az-salaam ishq b-khair
ye rah zaroor tumhaare hi ghar ko jaati hai
likha hua hai yahan gaam gaam ishq b-khair
bayaan ki hai ghazal-waar daastaan-e-ishq
so is kitaab ka rakha hai naam ishq b-khair
ufuq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi
abhi mila hai udhar se payaam-e-ishq b-khair
यही दुआ है यही है सलाम इश्क़ ब-ख़ैर
मिरे सभी रुफ़क़ा-ए-किराम इश्क़ ब-ख़ैर
दयार-ए-हिज्र की सूनी उदास गलियों में
पुकारता है कोई सुब्ह-ओ-शाम इश्क़ ब-ख़ैर
मैं कर रहा था दुआ की गुज़ारिशें उस से
सो कह गई है उदासी की शाम इश्क़ ब-ख़ैर
बड़े अजीब हैं शहर-ए-जुनूँ के बाशिंदे
हमेशा कहते हैं बा'द-अज़-सलाम इश्क़ ब-ख़ैर
ये रह ज़रूर तुम्हारे ही घर को जाती है
लिखा हुआ है यहाँ गाम गाम इश्क़ ब-ख़ैर
बयान की है ग़ज़ल-वार दास्तान-ए-इश्क़
सो इस किताब का रक्खा है नाम इश्क़ ब-ख़ैर
उफ़ुक़ के पार मुझे याद कर रहा है कोई
अभी मिला है उधर से पयाम-ए-इश्क़ ब-ख़ैर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehman Faris
our suggestion based on Rehman Faris
As you were reading Ghar Shayari Shayari