kyun tire saath raheen umr basar hone tak
ham na dekhenge imarat ko khandar hone tak
tum to darwaaza khula dekh ke dar aaye ho
tum ne dekha nahin deewaar ko dar hone tak
chup raheen aah bharen cheekh uthe ya mar jaayen
kya karein be-khabro tum ko khabar hone tak
ham pe kar dhyaan are chaand ko takne waale
chaand ke paas to mohlat hai sehar hone tak
haal mat poochiye kuchh baatein bataane ki nahin
bas dua kijeye duaon mein asar hone tak
sag-e-aawaara ke maanind mohabbat ke faqeer
dar-b-dar hote rahe shahr-badar hone tak
aap maali hain na suraj hain na mausam phir bhi
beej ko dekhte raheiga samar hone tak
dasht-e-khaamosh mein dam saadhe pada rehta hai
paanv ka pehla nishaan raah-guzar hone tak
faani hone se na ghabraaiye faaris ki hamein
an-ginat martaba marna hai amar hone tak
क्यूँ तिरे साथ रहीं उम्र बसर होने तक
हम न देखेंगे इमारत को खंडर होने तक
तुम तो दरवाज़ा खुला देख के दर आए हो
तुम ने देखा नहीं दीवार को दर होने तक
चुप रहीं आह भरें चीख़ उठें या मर जाएँ
क्या करें बे-ख़बरो तुम को ख़बर होने तक
हम पे कर ध्यान अरे चाँद को तकने वाले
चाँद के पास तो मोहलत है सहर होने तक
हाल मत पोछिए कुछ बातें बताने की नहीं
बस दुआ कीजे दुआओं में असर होने तक
सग-ए-आवारा के मानिंद मोहब्बत के फ़क़ीर
दर-ब-दर होते रहे शहर-बदर होने तक
आप माली हैं न सूरज हैं न मौसम फिर भी
बीज को देखते रहिएगा समर होने तक
दश्त-ए-ख़ामोश में दम साधे पड़ा रहता है
पाँव का पहला निशाँ राह-गुज़र होने तक
फ़ानी होने से न घबराईए 'फ़ारिस' कि हमें
अन-गिनत मर्तबा मरना है अमर होने तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehman Faris
our suggestion based on Rehman Faris
As you were reading Sooraj Shayari Shayari