mujhe garz hai sitaare na mahtaab ke saath
chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath
napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam
nibha rahe ho ta'alluq bade hisaab ke saath
main is liye nahin thakta tire ta'aqub se
mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath
sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun
sawaal khatm nahin hoga is jawaab ke saath
khamosh jheel ke paani mein vo udaasi thi
ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath
jata diya ki mohabbat mein gham bhi hote hain
diya gulaab to kaante bhi the gulaab ke saath
main le udoonga tire khadd-o-khaal se ta'beer
na dekh meri taraf chashm-e-neem-khwaab ke saath
are ye sirf bahaana hai baat karne ka
meri majaal ki jhagda karoon janab ke saath
visaal-o-hijr ki sarhad pe jhutpute mein kahi
vo be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath
shikasta aaina dekha phir apna dil dekha
dikhaai di mujhe taabeer-e-khwaab khwaab ke saath
wahan miloonga jahaan dono waqt milte hain
main kam-naseeb tire jaise kaamyaab ke saath
dayaar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain
ki roza khole tire aur sharaab-e-naab ke saath
tum achhi dost ho so mera mashwara ye hai
mila-jula na karo faaris'-e-kharaab ke saath
मुझे ग़रज़ है सितारे न माहताब के साथ
चमक रहा है ये दिल पूरी आब-ओ-ताब के साथ
नपी-तुली सी मोहब्बत लगा बँधा सा करम
निभा रहे हो तअ'ल्लुक़ बड़े हिसाब के साथ
मैं इस लिए नहीं थकता तिरे तआक़ुब से
मुझे यक़ीं है कि पानी भी है सराब के साथ
सवाल-ए-वस्ल पे इंकार करने वाले सुन
सवाल ख़त्म नहीं होगा इस जवाब के साथ
ख़मोश झील के पानी में वो उदासी थी
कि दिल भी डूब गया रात माहताब के साथ
जता दिया कि मोहब्बत में ग़म भी होते हैं
दिया गुलाब तो काँटे भी थे गुलाब के साथ
मैं ले उड़ूँगा तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल से ता'बीर
न देख मेरी तरफ़ चश्म-ए-नीम-ख़्वाब के साथ
अरे ये सिर्फ़ बहाना है बात करने का
मिरी मजाल कि झगड़ा करूँ जनाब के साथ
विसाल-ओ-हिज्र की सरहद पे झुटपुटे में कहीं
वो बे-हिजाब हुआ था मगर हिजाब के साथ
शिकस्ता आइना देखा फिर अपना दिल देखा
दिखाई दी मुझे ताबीर-ए-ख़्वाब ख़्वाब के साथ
वहाँ मिलूँगा जहाँ दोनों वक़्त मिलते हैं
मैं कम-नसीब तिरे जैसे कामयाब के साथ
दयार-ए-हिज्र के रोज़ा-गुज़ार चाहते हैं
कि रोज़ा खोलें तिरे और शराब-ए-नाब के साथ
तुम अच्छी दोस्त हो सो मेरा मशवरा ये है
मिला-जुला न करो 'फ़ारिस'-ए-ख़राब के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehman Faris
our suggestion based on Rehman Faris
As you were reading Shama Shayari Shayari