sadaaein dete hue aur khaak udaate hue | सदाएँ देते हुए और ख़ाक उड़ाते हुए - Rehman Faris

sadaaein dete hue aur khaak udaate hue
main apne aap se guzra hoon tujh tak aate hue

phir us ke ba'ad zamaane ne mujh ko raund diya
main gir pada tha kisi aur ko uthaate hue

kahaani khatm hui aur aisi khatm hui
ki log rone lage taaliyan bajaate hue

phir us ke ba'ad ata ho gai mujhe taaseer
main ro pada tha kisi ko ghazal sunaate hue

khareedna hai to dil ko khareed le fauran
khilone toot bhi jaate hain aazmaate hue

tumhaara gham bhi kisi tifl-e-sheer-khaar sa hai
ki oongh jaata hoon main khud use sulaate hue

agar mile bhi to milta hai raah mein faaris
kahi se aate hue ya kahi ko jaate hue

सदाएँ देते हुए और ख़ाक उड़ाते हुए
मैं अपने आप से गुज़रा हूँ तुझ तक आते हुए

फिर उस के बा'द ज़माने ने मुझ को रौंद दिया
मैं गिर पड़ा था किसी और को उठाते हुए

कहानी ख़त्म हुई और ऐसी ख़त्म हुई
कि लोग रोने लगे तालियाँ बजाते हुए

फिर उस के बा'द अता हो गई मुझे तासीर
मैं रो पड़ा था किसी को ग़ज़ल सुनाते हुए

ख़रीदना है तो दिल को ख़रीद ले फ़ौरन
खिलौने टूट भी जाते हैं आज़माते हुए

तुम्हारा ग़म भी किसी तिफ़्ल-ए-शीर-ख़ार सा है
कि ऊँघ जाता हूँ मैं ख़ुद उसे सुलाते हुए

अगर मिले भी तो मिलता है राह में 'फ़ारिस'
कहीं से आते हुए या कहीं को जाते हुए

- Rehman Faris
5 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehman Faris

As you were reading Shayari by Rehman Faris

Similar Writers

our suggestion based on Rehman Faris

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari