vida-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein | विदा-ए-यार का लम्हा ठहर गया मुझ में

  - Rehman Faris

vida-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein
main khud to zinda raha waqt mar gaya mujh mein

sukoot-e-shaam mein cheekhen sunaai deti hain
tu jaate jaate ajab shor bhar gaya mujh mein

vo pehle sirf meri aankh mein samaaya tha
phir ek roz ragon tak utar gaya mujh mein

kuchh aise dhyaan mein chehra tira tuloo hua
ghuboob-e-shaam ka manzar nikhar gaya mujh mein

main us ki zaat se munkir tha aur phir ik din
vo apne hone ka elaan kar gaya mujh mein

khandar samajh ke meri sair karne aaya tha
gaya to mausam-e-gham phool dhar gaya mujh mein

gali mein goonji khamoshi ki cheekh raat ke waqt
tumhaari yaad ka baccha sa dar gaya mujh mein

bata main kya karoon dil naam ke is aangan ka
tiri umeed pe jo saj-sanwar gaya mujh mein

ye apne apne muqaddar ki baat hai faaris
main is mein simtaa raha vo bikhar gaya mujh mein

विदा-ए-यार का लम्हा ठहर गया मुझ में
मैं ख़ुद तो ज़िंदा रहा वक़्त मर गया मुझ में

सुकूत-ए-शाम में चीख़ें सुनाई देती हैं
तू जाते जाते अजब शोर भर गया मुझ में

वो पहले सिर्फ़ मिरी आँख में समाया था
फिर एक रोज़ रगों तक उतर गया मुझ में

कुछ ऐसे ध्यान में चेहरा तिरा तुलूअ' हुआ
ग़ुरूब-ए-शाम का मंज़र निखर गया मुझ में

मैं उस की ज़ात से मुंकिर था और फिर इक दिन
वो अपने होने का एलान कर गया मुझ में

खंडर समझ के मिरी सैर करने आया था
गया तो मौसम-ए-ग़म फूल धर गया मुझ में

गली में गूँजी ख़मोशी की चीख़ रात के वक़्त
तुम्हारी याद का बच्चा सा डर गया मुझ में

बता मैं क्या करूँ दिल नाम के इस आँगन का
तिरी उमीद पे जो सज-सँवर गया मुझ में

ये अपने अपने मुक़द्दर की बात है 'फ़ारिस'
मैं इस में सिमटा रहा वो बिखर गया मुझ में

  - Rehman Faris

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehman Faris

As you were reading Shayari by Rehman Faris

Similar Writers

our suggestion based on Rehman Faris

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari