vo kyun na roothta maine bhi to khata kii thi | वो क्यूँ न रूठता मैंने भी तो ख़ता की थी

  - Sabir Zafar

vo kyun na roothta maine bhi to khata kii thi
bahut khayal rakha tha bahut wafa kii thi

suna hai in dinon ham-rang hain bahaar aur aag
ye aag phool ho maine bahut dua kii thi

nahin tha qurb mein bhi kuchh magar ye dil mera dil
mujhe na chhod bahut main na iltijaa kii thi

safar mein kashmakash-e-marg-o-zist ke dauraan
na jaane kis ne mujhe zindagi ata kii thi

samajh saka na koii bhi meri zaroorat ko
ye aur baat ki ik khalk ishtiraaki thi

ye ibtida thi ki maine use pukaara tha
vo aa gaya tha zafar us ne intiha kii thi

वो क्यूँ न रूठता मैंने भी तो ख़ता की थी
बहुत ख़याल रखा था बहुत वफ़ा की थी

सुना है इन दिनों हम-रंग हैं बहार और आग
ये आग फूल हो मैंने बहुत दुआ की थी

नहीं था क़ुर्ब में भी कुछ मगर ये दिल मिरा दिल
मुझे न छोड़ बहुत मैं न इल्तिजा की थी

सफ़र में कश्मकश-ए-मर्ग-ओ-ज़ीस्त के दौरान
न जाने किस ने मुझे ज़िंदगी अता की थी

समझ सका न कोई भी मिरी ज़रूरत को
ये और बात कि इक ख़ल्क़ इश्तिराकी थी

ये इब्तिदा थी कि मैंने उसे पुकारा था
वो आ गया था 'ज़फ़र' उस ने इंतिहा की थी

  - Sabir Zafar

More by Sabir Zafar

As you were reading Shayari by Sabir Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Zafar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari