hijr bhi kam na hua jiska bhulaane ke baad | हिज्र भी कम न हुआ जिसका भुलाने के बाद

  - Sagar Sahab Badayuni

hijr bhi kam na hua jiska bhulaane ke baad
milne aaya hai wahi shakhs zamaane ke baad

zinda rahte to yaqeen kar na saka mujh par vo
usko aaya bhi yaqeen zahar ko khaane ke baad

vo mujhe chhod ke bhi khush na hua lagta hai
ab kisi aur pe nazarein hain falaane ke baad

usne chhodi na kami koii sitam karne mein
rehm aaya na kabhi usko sataane ke baad

mujhse har cheez samajh lo ke khafa baithi hai
kuchh bhi haasil na hua usko ganwaane ke baad

aap kya dhoondne aaye hain meri duniya mein
kuchh nahin bachta kabhi ghar ko jalane ke baad

ahmiyat kaun samajhta hai kabhi hone par
tu bhi samjhega yaqeenan mere jaane ke baad

हिज्र भी कम न हुआ जिसका भुलाने के बाद
मिलने आया है वही शख़्स ज़माने के बाद

ज़िंदा रहते तो यक़ीं कर न सका मुझ पर वो
उसको आया भी यक़ीं ज़हर को खाने के बाद

वो मुझे छोड़ के भी ख़ुश न हुआ लगता है
अब किसी और पे नज़रें हैं फ़लाने के बाद

उसने छोड़ी न कमी कोई सितम करने में
रहम आया न कभी उसको सताने के बाद

मुझसे हर चीज़ समझ लो के ख़फ़ा बैठी है
कुछ भी हासिल न हुआ उसको गँवाने के बाद

आप क्या ढूँढने आए हैं मिरी दुनिया में
कुछ नहीं बचता कभी घर को जलाने के बाद

अहमियत कौन समझता है कभी होने पर
तू भी समझेगा यक़ीनन मिरे जाने के बाद

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari