ghalat ko farz kahte hain khuda ke naam par saagar
khuda se door bhaage hain khuda ke naam par saagar
khuda bhi muskurata hai farishte khilkhilate hain
yahan kya-kya tamaashe hain khuda ke naam par saagar
mayassar hai nahin do waqt kii roti bhi jinko ab
wahi parcham uthaaye hain khuda ke naam par saagar
khuda ko bhi khabar hai kya ki tum itne sayaane ho
jo tumne shauq pale hain khuda ke naam par saagar
nithalle shor karte hain khuda ke naam par saagar
khuda chuppi sambhale hain khuda ke naam par saagar
ग़लत को फ़र्ज़ कहते हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
ख़ुदा से दूर भागे हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
ख़ुदा भी मुस्कुराता है फ़रिश्ते खिलखिलाते हैं
यहाँ क्या-क्या तमाशे हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
मयस्सर है नहीं दो वक़्त की रोटी भी जिनको अब
वही परचम उठाए हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
ख़ुदा को भी ख़बर है क्या कि तुम इतने सयाने हो
जो तुमने शौक़ पाले हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
निठल्ले शोर करते हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
ख़ुदा चुप्पी सॅंभाले हैं ख़ुदा के नाम पर 'सागर'
As you were reading Shayari by Sagar Kaushik
our suggestion based on Sagar Kaushik
As you were reading undefined Shayari