har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhen
shabnam kabhi shola kabhi toofaan hain aankhen
aankhon se badi koi taraazu nahin hoti
tulta hai bashar jis mein vo mizaan hain aankhen
aankhen hi milaati hain zamaane mein dilon ko
anjaan hain ham tum agar anjaan hain aankhen
lab kuchh bhi kahein is se haqeeqat nahin khulti
insaan ke sach jhooth ki pehchaan hain aankhen
aankhen na jhuki teri kisi gair ke aage
duniya mein badi cheez meri jaan hain aankhen
हर तरह के जज़्बात का एलान हैं आँखें
शबनम कभी शोला कभी तूफ़ान हैं आँखें
आँखों से बड़ी कोई तराज़ू नहीं होती
तुलता है बशर जिस में वो मीज़ान हैं आँखें
आँखें ही मिलाती हैं ज़माने में दिलों को
अंजान हैं हम तुम अगर अंजान हैं आँखें
लब कुछ भी कहें इस से हक़ीक़त नहीं खुलती
इंसान के सच झूट की पहचान हैं आँखें
आँखें न झुकीं तेरी किसी ग़ैर के आगे
दुनिया में बड़ी चीज़ मिरी जान! हैं आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Mehboob Shayari Shayari