main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
har fikr ko dhuen mein udaata chala gaya
barbaadiyon ka sog manana fuzool tha
barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya
jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
jo kho gaya main us ko bhulaata chala gaya
gham aur khushi mein farq na mehsoos ho jahaan
main dil ko us maqaam pe laata chala gaya
मैं ज़िंदगी का साथ निभाता चला गया
हर फ़िक्र को धुएँ में उड़ाता चला गया
बर्बादियों का सोग मनाना फ़ुज़ूल था
बर्बादियों का जश्न मनाता चला गया
जो मिल गया उसी को मुक़द्दर समझ लिया
जो खो गया मैं उस को भुलाता चला गया
ग़म और ख़ुशी में फ़र्क़ न महसूस हो जहाँ
मैं दिल को उस मक़ाम पे लाता चला गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Qismat Shayari Shayari