tum apna ranj-o-gham apni pareshaani mujhe de do
tumhein gham ki qasam is dil ki veeraani mujhe de do
ye maana main kisi qaabil nahin hoon in nigaahon mein
bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do
main dekhoon to sahi duniya tumhein kaise sataati hai
koi din ke liye apni nigahbaani mujhe de do
vo dil jo main ne maanga tha magar ghairoon ne paaya hai
badi shay hai agar us ki pashemaani mujhe de do
तुम अपना रंज-ओ-ग़म अपनी परेशानी मुझे दे दो
तुम्हें ग़म की क़सम इस दिल की वीरानी मुझे दे दो
ये माना मैं किसी क़ाबिल नहीं हूँ इन निगाहों में
बुरा क्या है अगर ये दुख ये हैरानी मुझे दे दो
मैं देखूँ तो सही दुनिया तुम्हें कैसे सताती है
कोई दिन के लिए अपनी निगहबानी मुझे दे दो
वो दिल जो मैं ने माँगा था मगर ग़ैरों ने पाया है
बड़ी शय है अगर उस की पशेमानी मुझे दे दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Gham Shayari Shayari