zamaane ke liye to mar chuka hoon
sahaara hai tira so jee raha hoon
mukammal hi samajhna phir mujhe bhi
faqat ab qatl hona rah gaya hoon
bhulaane ki hai zidd-o-jahad jisko
tumhaare ishq ka vo silsila hoon
jise apni muhabbat kah rahi ho
vo koi aur hai aur main doosra hoon
muhabbat ki nawaazish maut hi hai
mujhe maaro abhi main adhmara hoon
muhabbat ka asar mujh par nahin hai
yun hi patthar se main sar peetata hoon
saza mujhko ata kar tu munaasib
khata ye hai ki tujh ko chahta hoon
shafaq ko khojne nikla hoon jabse
tabhi se khud kahi par laapata hoon
ज़माने के लिए तो मर चुका हूँ
सहारा है तिरा सो जी रहा हूँ
मुकम्मल ही समझना फिर मुझे भी
फ़क़त अब क़त्ल होना रह गया हूँ
भुलाने की है ज़िद्द-ओ-जहद जिसको
तुम्हारे इश्क़ का वो सिलसिला हूँ
जिसे अपनी मुहब्बत कह रही हो
वो कोई और है, और मैं दूसरा हूँ
मुहब्बत की नवाज़िश मौत ही है
मुझे मारो, अभी मैं अधमरा हूँ
मुहब्बत का असर मुझ पर नहीं है
यूँ ही पत्थर से मैं सर पीटता हूँ
सज़ा मुझको अता कर तू मुनासिब
ख़ता ये है कि तुझ को चाहता हूँ
"शफ़क़" को खोजने निकला हूँ जबसे
तभी से ख़ुद कहीं पर लापता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sandeep Singh Chouhan "Shafaq"
our suggestion based on Sandeep Singh Chouhan "Shafaq"
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari