tumne aankhen dekhi inmein door nahin dekha
sab kuchh dekha lekin apna noor nahin dekha
tum kahti ho tumne baat sooni hai sabki par
khud ko mere yaaron mein mashhoor nahin dekha
ghar ki zimmedaari jis bete ke shaane par
usko gahe ishq mein maine choor nahin dekha
jiski garjan sunkar thar thar kaanpe very dal
raana se aala duniya mein shoor nahin dekha
sab kuchh dekh nazar phir bhi khaali khaali si hai
yaar bahut din se hansta mazdoor nahin dekha
तुमने आँखें देखी इनमें दूर नहीं देखा
सब कुछ देखा लेकिन अपना नूर नहीं देखा
तुम कहती हो तुमने बात सुनी है सबकी पर
ख़ुद को मेरे यारों में मशहूर नहीं देखा
घर की ज़िम्मेदारी जिस बेटे के शाने पर
उसको गाहे इश्क़ में मैंने चूर नहीं देखा
जिसकी गर्जन सुनकर थर थर काँपे वैरी दल
राणा से आला दुनिया में शूर नहीं देखा
सब कुछ देख नज़र फिर भी ख़ाली ख़ाली सी है
यार बहुत दिन से हँसता मज़दूर नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sandeep dabral 'sendy'
our suggestion based on Sandeep dabral 'sendy'
As you were reading Ghar Shayari Shayari